Category: Ghazal Shayari

Shairi 2014 Best Ghazal Shairi

Shairi 2014 Best Ghazal Shairi

Ghazal

 

Qisa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jaiyen

Jaan-e-jaan umar nahien is mein zamany lag jaiyen

Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny

Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jaiyen

Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy

Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jaiyen

Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein

Rog mujh ko na kahien phir sy purany lag jaiyen

Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab

Saary mousam hi teri yaad dilany lag jaiyen

Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi

Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jaiyen

Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni

Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jaiyen.

Mout Bhi Chhu Na Saki Mujhko

Mout Bhi Chhu Na Saki Mujhko

Ghazal

Nabje Beemar Kabhi,Aur Kabhi Dil Dekha,
Fir Kiya Katal, Aapko Kaatil Dekha,

Mout Bhi Chhu Na Saki Mujhko,Rahe Ulfat Mein,
Maine Fir Fir Ke Ajal Ko, Kaee Manjil Dekha,

Kya Samjhate Nahin Jahir Ki Mulakat Ko Hum,
Dil Tumhara Na Mila Hum, Ne Gale Mil Dekha,

Gaaliya Dete Ho, Fir Kahte Ho, Yeh Bhi Mujhse,
Humne Tujhko Isi Laayak, Isi Kaabil Dekha,

Usne Jab Hukm Diya Tha, Tujhe Mar Jana Tha,
Daag Tu De Na Saka Jaan, Tera Dil Dekha…

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Meri bisaat hai kya mainhon brg awara

Meri bisaat hai kya mainhon brg awara

Ghazal

YEh mashgala hai kisi ka najanay kia chahay
NA fasloon ko mitaay, nA faisala chahay

Meri bisaat hai kya mainhon brg awara
Ura kay lay chalay mujh ko jahan hawa chahay

Hazaroon doobnay walay bacha liyay laikin
Usay main kaisay bacahoon jo doobna chahay

Jo apna chahra dikhata hai mehrabaan ban kar
Us aainay ki tarf koon dakhna chahay….

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Ek Pal Men Simat Aaye Hon Zamany Jaisy

Ek Pal Men Simat Aaye Hon Zamany Jaisy

Ghazal

Jaagti Raat K Honton Pe Fasaney Jaisy
Ek Pal Men Simat Aaye Hon Zamany Jaisy

Aqal Kehti Hai Bhula Do Jo Nahi Mil Paya
Dil Wo Pagal K Koi Baat Na Maany Jaisy

Raasty Men Wohi Manzar Hen Puraany Ab Tak
Bus Kami Hai To Nahi Log Puraany Jaisy

Aaina Dekh K Ehsas Yehi Hota Hai
Le Gaya Ho Waqt Umron K Khazaany Jaisy

Raat Ki Aankh Se Tapka Hua Aansu
Makh-Mali Ghaas Pe Moti K Hon Daany Jaisy

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Garmi e shama ka afasana sunanevalo

Garmi e shama ka afasana sunanevalo

Ghazal

koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka

garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka

chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka

ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka

ab to har manzil se guzarna to hai aasan “iqbal”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Dil sey zidi bachey ko mana leti

Dil sey zidi bachey ko mana leti

 Dil sey zidi bachey ko mana leti  Muhabbat is qadar mushkil amal hai
Itni zalim, itni sangdil hai
Agar maloom ho jata
To dil key agey hath rakh deti
Sar ko jhuka leti
Dil sey zidi bachey ko mana leti
Chaht’on ki rah itni kathin hai
Key apney ghair ho jatey hein
Dil mein dard bo jatey hein
Agar maloom ho jata
Bohat safak ho jati
Magar tum sey na ye sunti
Tum’hein mujh sey muhabbat hai
Kabhi tum sey na ye kehti
Mujhey tum sey muhabbat hai

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Teri yaad se mohabbat ki hai

 Teri yaad se mohabbat ki hai

Ghazal

Tere ikhlas se mohabbat ki hai,
Tere ehsas se mohabbat ki hai,
Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai
Kabhi to tu ne bi mujhe yad kiya hoga,
Me ne un lamhaat se mohabbat ki hai,
Jin main hon teri meri batain,
Main ne un auqaat se mohabbat ki hai,
Aur mehky hon sirf teri mohabbat se,
Main ne un jazbaat se mohabbat ki hai,
Tujh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mohabbat ki hai…

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala

Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala

Ghazal

Chamakte Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala,
Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala
Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain,
Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala,
Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hoon,
Na Mujh Se Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon,
Khuda Tune Kaise Yeh Jahan Sara Bana Dala,
Mere Malik Mera Dil Kyoun Tarapta Hai, Sulagta hai,
Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai,
Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala…

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Her peher her gharri yahan merta raha hoon main

Her peher her gharri yahan merta raha hoon main

Ghazal

Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,
Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,
Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,
Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,
Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shaukat,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main..

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Kisi se milney ko jab bhi sajan

Kisi se milney ko jab bhi sajan

Ghazal

Bahaar rut mein ujrrey raasty,
Takaa karo ge to ro paro ge,
Kisi se milney ko jab bhi sajan
Saja karo gey tou ro paro ge,
Tumhary wadon ne yaar mujh ko,
Tabaah kiya hai kuch is tarah se,
Ke zindagi mein jo phir kisi se,
Dagha karo ge to ro paro ge,
Main janta hoon meri mohabbat,
Ujaarr de gi tumhein bhi aise,
Ke chand raton mein ab kisi se,
Mila karo gay to ro paro ge,
Barasti barish mein yaad rakhna,
Tumhein staayn gi meri ankhein,
Kisi walli ke mizaar par tum,
Dua karo ge tou ro paro ge..

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”

Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha

Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha

Ghazal

Teri zaat ke shajar se yun mera chaman raha,
Wo be-samar shajar magar Saaya Ifgan raha,
Tera mizaaj waqti taqazo’n pe munhasir,
Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha
Ye medaan jahan aaj kal hy hashr ka smaa’n,
Ik dor mein kbhi tha kitna pur-aman raha,
An ginat silwaten ab tak hain par chuke’n,
Rishta hmara phir bhi hy ke be-shikan raha,
Atraaf-o-jawaanib toh mere pur-sukoon thy,
Dil tha ke jis me jalta shola-e-agan raha,
Thaama gulaab ko jo, phir toh chhor na sakay,
Umr bhr kaanto’n se yun rbt-e-chubhan raha,
Alfaaz bhi na kar sakay akaasi-e-mizaaj,
Ksh-ma-ksh me hr ghari mera hm-sukhan raha,
Mujrim qaraar de ke baa-izzat bari kiya,
Teri adaalato’n me bhi ajab ziman raha,
Be-misl khataao’n mein hun agarchy mein ‘Saadi’,
Zamana misaal de magar esa chalan raha..

By

“??(¯`’•.¸.** Sulaiman Sahil .¸.•’´¯)??”